Aankhein Shayari, GF BF Shayari in Hindi 2023 lover shayari

UthhTi Nahi Hai Aankh Kisi Aur Ki Taraf,
Paband Kar Gayi Hai Kisi Ki Najar Mujhe,
Imaan Ki Toh Ye Hai Ke Imaan Ab Kahan,
Kafir Banaa Gayi Teri Kafir Najar Mujhe.

उठती नहीं है आँख किसी और की तरफ,
पाबन्द कर गयी है किसी की नजर मुझे,
ईमान की तो ये है कि ईमान अब कहाँ,
काफ़िर बना गई तेरी काफ़िर-नज़र मुझे

Ishq Ke Phool Khilte Hain Teri KhoobSurat Aankhon Mein,
Jahan Dekhe Tu Ek Najar Wahan Khushboo Bikhar Jaaye.

इश्क के फूल खिलते हैं तेरी खूबसूरत आँखों में,
जहाँ देखे तू एक नजर वहाँ खुशबू बिखर जाए

Bina Puchhe Hi Sulajh Jati Hai Sawalon Ki Gutthiyan,
Kuchh Aankhein Itni Hazr-Jawaab Hoti Hain.

बिना पूछे ही सुलझ जाती हैं सवालों की गुत्थियाँ,
कुछ आँखें इतनी हाज़िर-जवाब होती हैं

Yeh Muskurati Huyi Aankhein
Jin Mein Raks Karti Hai Bahaar,
Shafaq Ki, Gul Ki,
Bijliyon Ki Shokhiyan Liye Huye.

यह मुस्कुराती हुई आँखें
जिनमें रक्स करती है बहार,
शफक की, गुल की,
बिजलियों की शोखियाँ लिये हुए।

Uss Ghadi Dekho Unka Aalam,
Neend Se Jab Hon Bhojhal Aakhein,
Kaun Meri Najar Mein Samaaye,
Dekhi Hain Maine Tumhari Aankhein.

उस घड़ी देखो उनका आलम
नींद से जब हों बोझल आँखें,
कौन मेरी नजर में समाये
देखी हैं मैंने तुम्हारी आँखें


Jaane Kyun Doob Jata Hun Har Bar Inhein Dekh Kar,
Ek Dariya Hain Ya Poora Samandar Hain Teri Aankhein.

जाने क्यों डूब जाता हूँ हर बार इन्हें देख कर,
इक दरिया हैं या पूरा समंदर हैं तेरी आँखें।
Nigaahon Se Qatal Kar De Na Ho Takleef Dono Ko,
Tujhe Khanjar Uthhane Ki Mujhe Gardan Jhukane Ki.

निगाहों से कत्ल कर दे न हो तकलीफ दोनों को,
तुझे खंजर उठाने की मुझे गर्दन झुकाने की।
Jaane Kyun Doob Jata Hun Har Bar Inhein Dekh Kar,
Ek Dariya Hain Ya Poora Samandar Hain Teri Aankhein.

जाने क्यों डूब जाता हूँ हर बार इन्हें देख कर,
इक दरिया हैं या पूरा समंदर हैं तेरी आँखें।
Nigaahon Se Qatal Kar De Na Ho Takleef Dono Ko,
Tujhe Khanjar Uthhane Ki Mujhe Gardan Jhukane Ki.

निगाहों से कत्ल कर दे न हो तकलीफ दोनों को,
तुझे खंजर उठाने की मुझे गर्दन झुकाने की।
Bahut Bewaak Aankhon Mein Taalluk Tik Nahi Pata,
Mohabbat Mein Kashish Rakhne Ko Sharmana Jaroori Hai.

बहुत बेबाक आँखों में ताल्लुक टिक नहीं पाता,
मोहब्बत में कशिश रखने को शर्माना जरूरी है।
Main Darr Raha Hun Tumhari Nasheeli Aankhon Se,

Ke Loot Lein Na Kisi Roj Kuchh Pila Ke Mujhe.

मैं डर रहा हूँ तुम्हारी नशीली आँखों से,
कि लूट लें न किसी रोज़ कुछ पिला के मुझे।
Saqi Ko Gila Hai Ke Uski Bikti Nahi Sharab,
Aur Ek Teri Aankehin Hain Hosh Mein Aane Nahi Deti.

साकी को गिला है कि उसकी बिकती नहीं शराब,
और एक तेरी आँखें हैं कि होश में आने नहीं देती।
Subah Toh Ho Gayi Par Ye Aankh Abhi Bhaari Hai,
Khwaab Koi Nashe Sa Ab Tak Aankhon Mein Hai.

सुबह तो हो गई पर ये अभी आँख भारी है,
ख्बाव कोई नशे सा अब तक आँखों में है
Ek Si Shokhi Khuda Ne Di Hai Husno-Ishq Ko,
Fark Bas Itna Hai Wo Aankhon Mein Hai Yeh Dil Mein Hai.

एक सी शोखी खुदा ने दी है हुस्नो-इश्क को,
फर्क बस इतना है वो आंखों में है ये दिल में है।
Uski Kudrat Dekhta Hun Teri Aankhein Dekhkar,
Do Piyalon Mein Bhari Hai Kaise Lakhon Man Sharab.

उसकी कुदरत देखता हूँ तेरी आँखें देखकर,
दो पियालों में भरी है कैसे लाखों मन शराब
Mast Aankhon Par Ghani Palkon Ki Chhaya Yun Thi,
Jaise Ki Ho Maikhane Par Ghanghor Ghata Chhayi Huyi

मस्त आंखों पर घनी पलकों की छाया यूँ थी,
जैसे कि हो मैखाने पर घरघोर घटा छाई हुई।
Log Kehte Hain Jinhein Neel-Kanwal Wo Toh Qateel,

Shab Ko Inn Jheel Si Aankhon Mein Khila Karte Hain.
लोग कहते हैं जिन्हें नील कंवल वो तो क़तील,
शब को इन झील सी आँखों में खिला करते है।
Adaa Nigaahon Se Hota Hai Farz-e-Goyai,
Jubaan Ki Hadd Se Jab Shauk-e-Bayaan Gujrata Hai.

अदा निगाहों से होता है फर्जे-गोयाई,
जुबां की हद से जब शौके-बयां गुजरता है।
Kabhi Baitha Ke Samne Puchhenge Teri Aankhon Se,
Kisne Sikhaya Hai Inhein Har Dil Mein Utar Jana.
कभी बैठा के सामने पूछेंगे तेरी आँखों से,
किसने सिखाया है इन्हें हर दिल में उतर जाना
Milayenge Najar Kis Se
Ke Wah BeDeed Hain Aise,
Nahi Aayina Mein Aankhein
Milaate Apni Aankho Se,
Jo Wah Aankhon Mein Aaya
Kaun Usko Dekh Sakta Tha,
Kasam Aankhon Ki Hum Usko
Chhupate Apni Aankhon Se,
Zafar Giriya Humara
Kuchh Na Kuchh Taseer Rakhta Hai,
Unhein Hum Dekhte Hain
Muskurate Apni Aankhon Se.
मिलायेंगे नज़र किससे
कि वह बेदीद हैं ऐसे,
नहीं आईना में आँखें
मिलाते अपनी आँखों से.
जो वह आँखों में आया
कौन उसको देख सकता था,
क़सम आँखों की हम उसको
छुपाते अपनी आँखों से
ज़फ़र गिरिया हमारा
कुछ-न-कुछ तासीर रखता है,
उन्‍हें हम देखते हैं
मुस्कुराते अपनी आँखों से।
Raat Badi Mushkil Se Khud Ko Sulaya Hai Maine,
Apni Aankho Ko Tere Khwab Ka Laalach Dekar.
रात बड़ी मुश्किल से खुद को सुलाया है मैंने,
अपनी आँखों को तेरे ख्वाब का लालच देकर।
Khulte Hain Mujh Pe Raaz Kayi Iss Jahan Ke,
UsKi Haseen Aankhon Mein Jab Jhankta Hoon Main.
खुलते हैं मुझ पे राज कई इस जहान के,

उसकी हसीन आँखों में जब झाँकता हूँ मैं
Jaati Hai Iss Jheel Ki Gehraayi Kahan Tak,
Aankhon Mein Teri Doob Ke Dekhenge Kisi Roj.
जाती है इस झील की गहराई कहाँ तक,
आँखों में तेरी डूब के देखेंगे किसी रोज।
Adaa Se Dekh Lo Jaata Rahe Gila Dil Ka,
Bas Ik Nigaah Pe Thhehra Hai Faisla Dil Ka.
अदा से देख लो जाता रहे गिला दिल का,
बस इक निगाह पे ठहरा है फ़ैसला दिल का।
Ab Tak Meri Yaadon Se Mitaaye Nahi MitTa,
Bhigi Hui Ik Shaam Ka Manzar Teri Aankhein.
अब तक मेरी यादों से मिटाए नहीं मिटता,
भीगी हुई इक शाम का मंज़र तेरी आँखें।
Mere Honthhon Ne Har Baat Chhupa Rakhi Thi,
Aankhon Ko Ye Hunar Kabhi Aaaya Hi Nahin.
मेरे होठों ने हर बात छुपा कर रखी थी,
आँखों को ये हुनर कभी आया ही नहीं।

Meri Aankho Mein Jhankne Se Pehle,
Jara Soch Lijiye Aye Huzoor...
Jo Humne Palke Jhuka Li Toh Qayamat Hogi,
Aur Humne Nazrein Mila Li Toh Mohabbat Hogi.
मेरी आँखों में झाँकने से पहले,
जरा सोच लीजिये ऐ हुजूर...
जो हमने पलके झुका ली तो कयामत होगी,
और हमने नजरें मिला ली तो मुहब्बत होगी।
Mehfil Ajeeb Hai Na Yeh Manzar Ajeeb Hai,
Jo Usne Chalaya Woh Khanjar Ajeeb Hai,
Na Doobne Deta Hai Na Ubarne Deta Hai,
Uski Aankhon Ka Woh Samandar Ajeeb Hai.
महफिल अजीब है, ना ये मंजर अजीब है,
जो उसने चलाया वो खंजर अजीब है,
ना डूबने देता है, ना उबरने देता है,
उसकी आँखों का वो समंदर अजीब है।
Teri Nigaah Se Aisi Sharab Pee Maine,
Phir Na Hosh Ka Daava Kiya Kabhi Maine,
Woh Aur Honge Jinhein Maut Aa Gayi Hogi,
Nigaah-e-Yaar Se Payi Hai Zindagi Maine.
तेरी निगाह से ऐसी शराब पी मैंने,
फिर न होश का दावा किया कभी मैंने,
वो और होंगे जिन्हें मौत आ गई होगी,
निगाह-ए-यार से पाई है जिन्दगी मैंने

1 टिप्पणी:

Blogger द्वारा संचालित.