Dard Bhari sad Shayari, Dard Ka Hisaab

hindi shayari for love sad
Agar Mohabbat Ki Hadd Nahin Koi,
Toh Dard Ka Hisaab Kyun Rakhoon.
अगर मोहब्बत की हद नहीं कोई,
तो दर्द का हिसाब क्यूँ रखूं।

Naseehat Achchi Deti Hai Duniya,
Agar Dard Kisi Ghair Ka Ho.
नसीहत अच्छी देती है दुनिया,
अगर दर्द किसी ग़ैर का हो।
Gulshan Ki Baharon Pe Sar-e-Shaam Likha Hai,
Phir Uss Ne Kitabon Pe Mera Naam Likha Hai,
Yeh Dard Isee Tarah Meri Duniya Mein Rahega,
Kuchh Soch Ke Uss Ne Mera Anjaam Likha Hai.
गुलशन की बहारों पे सर-ए-शाम लिखा है,
फिर उस ने किताबों पे मेरा नाम लिखा है,
ये दर्द इसी तरह मेरी दुनिया में रहेगा,
कुछ सोच के उस ने मेरा अंजाम लिखा है
Diya Diye Se Jala Loon Toh Chain Aaye Mujhe,
Tumhein Gale Se Laga Loon Toh Chain Aaye Mujhe,
Mohabbton Ke Saheefay Hain Ya Azaab Koi,
Tere Khaton Ko Jala Loon Toh Chain Aaye Mujhe.
दिया दिए से जला लूं तो सुकून आये मुझे,
तुम्हें गले से लगा लूं तो चैन आये मुझे,
मोहब्बतों के सहीफ़े हैं या अज़ाब कोई,
तेरे खतों को जला लूं तो चैन आये मुझे
Rone Ki Saza Na Ye Rulaane Ki Saza Hai,
Ye Dard Mohabbat Ko Nibhane Ki Saza Hai,
Hansti Huyi Aankhon Mein Aa Jate Hain Aansoo,
Ye Uss Shakhs Se Dil Lagane Ki Saza Hai.
रोने की सजा है न ये रुलाने की सजा है,
ये दर्द मोहब्बत को निभाने की सजा है,
हँसती हुई आँखों में आ जाते हैं आँसू,
ये उस शख्स से दिल लगाने की सजा है।
Parinde Laut Ke Jab Ghar Ko Aane Lagte Hain,
Humein Bhi Yaad Dar-o-Baam Aane Lagte Hain,
Jo Sunte Hain Ke Tere Dil Mein Koi Doosra Hai,
Hum Chupchap Apna Dard Dabaane Lagte Hain.
परिंदे लौट के जब घर को जाने लगते हैं,
हमें भी याद दर-ओ-बाम आने लगते हैं,
जो सुनते हैं कि तेरे दिल में कोई दूसरा है,
हम चुपचाप अपना दर्द दबाने लगते हैं।
Khamoshyian Kar Deti Bayaan Toh Alag Baat Hai,
Kuchh Dard Hain Jo Lafzo Mein Utaare Nahi Jate.
खामोशियाँ कर देतीं बयान तो अलग बात है,
कुछ दर्द हैं जो लफ़्ज़ों में उतारे नहीं जाते।
Aankhon Mein Umad Aata Ha Baadal Ban Kar,
Dard Ehsaas Ko Banjar Nahi Rahne Deta.
आँखों में उमड़ आता है बादल बन कर,
दर्द एहसास को बंजर नहीं रहने देता।
Mujhko Dhoondh Leta Hai Har Roj Naye Bahane Se,
Dard Ho Gaya Hai Waqif Mere Har Thhikane Se.
मुझको ढूँढ़ लेता है हर रोज़ नए बहाने से,
दर्द हो गया है वाकिफ मेरे हर ठिकाने से
Hawa Se Lipti Hui Siskiyon Se Lagta Hai,
Meri Kahani Kisi Aur Ne Bhi Dhohrayi Hai.
हवा से लिपटी हुयी सिसकियों से लगता है,
मेरी कहानी किसी और ने भी दोहराई है।
Ab Iss Se Jyada Aur Kya Narmi Bartoon,
Dil Ke Zakhmo Ko Chhua Hai Tere Gaalon Ki Tarah.
अब इस से ज्यादा और क्या नरमी बरतूं,
दिल के ज़ख्मों को छुया है तेरे गालों की तरह।
Aayina Aaj Fir Rishwat Lete Pakda Gaya,
Dil Mein Tha Dard Chehra Hanste Huye Pakda Gaya.
आईना आज फिर रिश्वत लेता पकड़ा गया,
दिल में था दर्द चेहरा हँसता हुआ पकड़ा गया।
Badle Toh Nai Hain Woh Dil-o-Jaan Ke Qareene,
Aankhon Ki Jalan Dil Ki Chubhan Ab Bhi Wahi Hai.
बदले तो नहीं हैं वो दिल-ओ-जान के क़रीने,
आँखों की जलन दिल की चुभन अब भी वही है
Roj Pilata Hu Ek Zeher Ka Pyala Use,
Ek Dard Jo Dil Mein Hai Marta Hi Nahi Hai.
रोज़ पिलाता हूँ एक ज़हर का प्याला उसे,
एक दर्द जो दिल में है मरता ही नहीं है।
Dard Mohabbat Ka Ai Dost Bahut Khoob Hoga,
Na Chubhega.. Na Dikhega.. Bas Mahsoos Hoga.
दर्द मोहब्बत का ऐ दोस्त बहुत खूब होगा,
न चुभेगा.. न दिखेगा.. बस महसूस होगा।
Dard Mein Bhi Yeh Lab Muskura Jaate Hain,
Beete Lamhe Humein Jab Bhi Yaad Aate Hain.
दर्द में भी ये लब मुस्कुरा जाते हैं,
बीते लम्हे हमें जब भी याद आते है।
Dard Ko Muskura Kar Sahna Kya Seekh Liya,
Sab Ne Soch Liya Mujhe Takleef Nahi Hoti.
दर्द को मुस्कराकर सहना क्या सीख लिया,
सब ने सोच लिया मुझे तकलीफ़ नहीं होती।
Mere Toh Dard Bhi Auron Ke Kaam Aate Hain,
Mein Ro Padoo Toh Kayi Log Muskurate Hain.
मेरे तो दर्द भी औरों के काम आते हैं,
मैं रो पडूँ तो कई लोग मुस्कराते है।
Bheegi Mitti Ki Mehak Ehsaas Barha Deti Hai,
Dard Barsaat Ki Boondo Mein Basaa Karta Hai.
भीगी मिट्टी की महक एहसास बढ़ा देती है,
दर्द बरसात की बूँदों में बसा करता है।
Humdardiyan Bhi Mujhe Katne Lagti Hain Ab,
Yoon Mujhse Mera Mijaz Na Puchha Kare Koi.
हमदर्दियाँ भी मुझे काटने लगती हैं अब,
यूँ मुझसे मेरा मिजाज़ ना पूछा करे कोई
Log Muntzir Hi Rahe Ke Humein Toota Hua Dekhein,
Aur Hum The Ke Dard Sahte-Sahte Patthar Ke Ho Gaye.
लोग मुन्तज़िर ही रहे कि हमें टूटा हुआ देखें,
और हम थे कि दर्द सहते-सहते पत्थर के हो गए।
Paas Jab Tak Woh Rahe Dard Thama Rahta Hai,
Phailta Jata Hai Phir Aankh Ke Kajal Ki Tarah.
पास जब तक वो रहे दर्द थमा रहता है,
फैलता जाता है फिर आँख के काजल की तरह।
Jaane-Tanha Pe Gujar Jayein Hajaro Sadmein,
Aankh Mein Ashq Bhi Aayein Yeh Jaroori To Nahi.
जाने-तन्हा पे गुजर जायें हजारो सदमें,
आँख में अश्क भी आयें ये जरूरी तो नहीं।
Dard Ka Mere Yakeen Aap Karein Ya Na Karein,
Intija Hai Ke Iss Raaz Ka Charcha Na Karein.
दर्द का मेरे यकीं आप करें या ना करें,
इल्तिजा है कि इस राज़ का चर्चा ना करें।
Sheesha Toote Aur Bikhar Jaye Toh Behtar Hai,
Daraarein Na Jeene Deti Hain Na Marne Deti Hain.
शीशा टूटे और बिखर जाये वो बेहतर है,
दरारें ना जीने देती हैं ना मरने देती हैं
Takleef Ye Nahin Ke Tumhein Azeez Koi Aur Hai,
Dard Tab Hua Jab NajarAndaz Koye Gaye.
तकलीफ ये नहीं कि तुम्हें अज़ीज़ कोई और है,
दर्द तब हुआ जब हम नजरंदाज किए गए।
Apna Koi Mil Jata Toh Hum Phoot Ke Ro Lete,
Yehan Sab Ghair Hain Toh Hans Ke Gujar Jayegi.
अपना कोई मिल जाता तो हम फूट के रो लेते,
यहाँ सब गैर हैं तो हँस के गुजर जायेगी।
Mere Aansuo Ke Daam Tum Chuka Na Payoge,
Mohabbat Na Le Sake Toh Dard Kya Khareedoge.
मेरे आँसुओं के दाम तुम चुका नहीं पाओगे,
मोहब्बत न ले सके तो दर्द क्या खरीदोगे।
Tod Diye Maine Ghar Ke Aayine Sabhi,
Pyar Mein Haare Huye Log Mujhse Dekhe Nahi Jate.
तोड़ दिए मैंने घर के आईने सभी,
प्यार में हारे हुए लोग मुझसे देखे नहीं जाते।
Waqt Khushi Se Katne Ka Mashwara Dete Huye,
Ro Pada Woh Khud Hi Mujhe Haunsla Dete Huye.
वक़्त ख़ुशी से काटने का मशवरा देते हुये,
रो पड़ा वो ख़ुद ही मुझे हौंसला देते हुये ।
Zakhm Bahut Hain Fir Bhi Mera Hausla To Dekh,
Tu Has Diya To Main Bhi Tere Saath Has Diya.
ज़ख्म बहुत हैं फिर भी मेरा हौसला तो देख,
तू हँस दिया तो मैं भी तेरे साथ हँस दिया
Mujh Par Sitam Dhha Gaye Meri Hi Ghazal Ke Sher,
Parh-Parh Ke Kho Rahe Hain Woh Ghair Ke Khayal Mein.
मुझ पर सितम ढहा गए मेरी ही ग़ज़ल के शेर,
पढ़-पढ़ के खो रहे हैं वो गैर के ख्याल में।
Aaj Uss Ne Ek Dard Diya Toh Mujhe Yaad Aaya,
Humne Hi Duaaon Mein Uske Saare Dard Mange They.
आज उस ने एक दर्द दिया तो मुझे याद आया,
हमने ही दुआओं में उसके सारे दर्द माँगे थे।
Parda Girte Hi Khatm Ho Jaate Hain Tamaashe Saare,
Khoob Rote Hain Fir Auron Ko Hansaane Wale.
पर्दा गिरते ही खत्म हो जाते हैं तमाशे सारे,
खूब रोते हैं फिर औरों को हँसाने वाले।
Kiya Hai Bardasht Tera Har Dard Isee Aas Ke Saath,
Ke Khuda Noor Bhi Barsata Hai Aazmaishon Ke Baad.
किया है बर्दाश्त तेरा हर दर्द इसी आस के साथ,
कि खुदा नूर भी बरसाता है आज़माइशों के बाद।

1 टिप्पणी:

Blogger द्वारा संचालित.